Saagar se gehri
Samandar ki lehren,
Apne saron pe zaag ke taaj sajaaye,
Itlaati hui, saahilon ki taraf badhti hain;
Saahilon pe chattanein hain,
Lehren chaknachoor ho jaati hain.
Aksar sapne bhi sachchaaiyon se takraake
Yunhi tootte hain.
Magar dil woh kambakht hai
Ki phir bhi ummeed karta hai
Shayad kabhi shayad kahin.
Sagar se bhi gehri hain tanhaiyan,
Raat se bhi kaali gham ki parchhaiyan,
dhundhti hun tumhein,
khoye na jaane ho,
tum kahan.
-----
Kuchh sun raha tha. Bahut pasand aaya, blog banaa diya. Simply.
Btw, the above were Javed Akhtar's verses for 'Tum Yaad Aaye'. Very beautiful, very thoughtful. Singer: Alka Yagnik. Music: Raju Singh. Great work by all the three!
-----
1 Comments:
Thanks Aniket! This post is awesome too :-)
Post a Comment
<< Home